Intezaar: A Short Poem in Hindostani by Ayush Prasad
Leave a commentJune 15, 2012 by bluberie
Pachhim ki ye thandi hawa layi hai udaa
Safed tinkon ki ek khubsoorat behti sadaa
Saat rang mein nahaye dhool ke ye zarre kuch karte hain bayan
Haath pakde, wafa ke pankh pasaare, ude hain ye bande
Khojne apne chupe jism ki bikhri jubaan
Haath mein na aaye ye fisalte mehmaan
Kaise pakde hum inki choot-ti dastaan
Kaise lapke hum inke chamkte badan ka gumaan
Zarron ki is bhagdar ne kiya achha-khasa pareshan
Boondein jab aayengi bhedti pighaltaa aasmaan
Layengi wo machalne ka mehekta farmaan
Thirkega phir weeraanaa mann
Hogi lambi saansein dhimi aur mand
Girenge phir ye tinke unme band
Likhenge ye barsaat ke cheenton ke kuchle-maile chhand
Bhigayenge khidki-darwaaze purzor
Denge simti roohon ko wafa ka zhonka
Diljalon ko sachhe waadon ki bheeni-bheeni thand
Kab, aakhir kab milega humein barish aur uske saajish ka ye gulkand
Kab aayega wo lamha jisme bheegengi ungliyaan
Jisme hoga sabhi sookhee aankhon ka intezaar fanaa
Jo karega sabhi pyaasi raaton ka ant